What is bitcoin in Hindi?Bitcoin kya hai?-Eagle Eye
What is bitcoin in Hindi?Bitcoin kya hai?
Apne bahut bar bitcoin ke bare mein suna hoga lekin agar apko bitcoin kya hai nahi pata hai to is article ke se aapko bitcoin ke puri knowledge ho jayegi.
Yeh ek decentralized currency hai matlab yeh ek aise currency hai jise koi bhe central bank control nahi karta hai.Bitcoin ka koi malik nahi hai.Bitcoin ek virtual currency hai ise aur currency jaise dollar,ruppe etc ke tarah dekha aur chua nahin ja sakta hai means bitcoin ka koi physical figure nahin hota hai.Ab app soch rahain hoge ke agar ise touch nahein kar sakte to ise apne pass rakh kaise payenge apko pata hona chahiye ke bitcoin ek digital currency hai aur isko apne pass rakhne ke liye digital wallet ka use hota.Digital wallet se bitcoin ko kise bhi country ke currency mein convert karke bank account mein dala ja sakta hai.Jaise 1 ruppe mein 100 paise hote hain use tarah 1 bitcoin me 10 crore satoshi hote hain. Bitcoin value har minute mein change hote hai.
Bitcoin ko Satoshi Nakamoto ne 2008 me banaya tha aur 2009 mein open sorce software se launch kiya tha.
Uses of bitcoin
*Bitcoin ka use online transaction mein kiya jata hai
*Bitcoin se app online shopping kar sakte hai.
*World ke kise bhe kone se kise bhe country mein payment kar sakte hai.
*Bitcoin se bussiness kiya ja sakta hai.
We hope that ke ab app bitcoin kya hai se related sabhe batein jan gaye honge.


Comments
Post a Comment